Suna hai log usay aankh bhar ke dekhte hain by ahmed faraz

Suna hai log usay aankh
bhar ke dekhte hain
So us ke shahar main
kuchh din thehr ke dekhte
hain
Suna hai rabt hai us ko
kharab halon se
So apne aap ko barbad
kar ke dekhte hain
Suna hai dard ki gahak
hain chashm-e nazuk us ki
So ham bhi us ki gali se
guzar ke dekhte hain
Suna hai us ko bhi hai
sher-o shayari se shagaf
So ham bhi mojazay apnay
hunar ke dekhte hain
Suna hai bole to baton se
phool jharrtay hain
Ye baat hai to chalo baat
kar ke dekhte hain
Suna hai raat use chand
takta rehta hai
Sitaray baam-e falak se
utar kar dekhtay hain
Suna hai hashr hain us ki
ghazaal si aankhain
Suna hai us ko hiran dasht
bhar ke dekhte hain
Suna hai din ko usay
titliyan satati hain
Suna hai raat ko jugno
thahar ke dekhte hain
Suna hai rat se barh kar
hain kakulan us ki
Suna hai sham ko saye
guzar ke dekhte hain
Suna hai us ki siyah
chashmagi qiyamat hai
So us ko surma farosh
aankh bhar ke dekhte hain
Suna hai us ke labon se
gulab jalate hain
So ham bahar par ilzaam
dhar ke dekhte hain
Suna hai aaina tamasal hai
jabin us ka
Jo sada dill hain ban
sanvar ke dekhte hain
Suna hai jab se hamail hain
us ki gardan main
Mizaj aur hi lal-o gauhar
ke dekhte hain
Suna hai chashm-e
tasavur se dasht-e imkan
main
Palang zawaiya us ki
kamar ke dekhte hain
Suna hai us ke badan ke
tarash aisay hain
Ke phuul apani qabayain
qatar ke dekhte hain
Woh sarvqad hai magar
begul-e muraad nahin
Ke us shajar pe shagufay
samar ke dekhte hain
Bas ek nigah se lutata hai
qafila dil ka
So rahravaan-e tamannaa
bhi dar ke dekhte hain
Suna hai us ke shabistan
se mutasil hai behisht
Makin udhar ke bhi jalway
idhar ke dekhte hain
Rukay tu gardishain us ka
tawaf karti hain
Chalay to us ko zamanay
theher ke dekhte hain
Kisay naseeb ke be
parahan usay dekhay
Kabhi kabhi dar-o divaar
ghar ke dekhte hain
Kahaniyan hi sahi sab
mubalaghay hi sahi
Agar woh khawb hai
tabeer kar ke dekhte hain
Ab us ke sheher main
thehrain ke kooch kar
jayan
Faraz aao sitaray safar
ke dekhte hain